Is kiraye ki bhoomi par
Kahin kiraye ke makaano mein
Rahaa hu mein.
Kabhi doston ke ghar par,
Kabhi ajnabeeyon ke dilon mein,
Kabhi raaston ke kinare,
Kabhi nadiyon ke kinare.
Kabhi kis dhun ke leher par,
Kabhi kisike mutti ke uss paar,
Kabhi hosh mein,
Kabhi aaghosh mein.
Ab, koi yeh batlayein kii inn
24 makaano mein
Mera ghar kaunsa tha?
Meri yaadein kahaan rehte hain?
Jab kiraye ke makaanon mein,
Hum yaadein banaa lete hain,
Tab, kya wah makaan ghar ban jaata hain?
Makaan mein jab hum kisi se pyaar karte hain,
Kisika intezaar karte hain,
Tab, kya wah makaan ghar ban jaata hain?
Ro, ro kar jab phir ek baar
Jeene kii ummeed rakhte hain,
Kya tab wah theekana,
Uss musafir ke liye ghar ban jaata hain?
Iss ghumti hui bhoomi par,
Ek chotaa sa aasmaan hum basaate hain,
Tab, kya wah aasman ghar ban jaata hain?
Gharonda kya deewaron se banta hain,
Kii chatt se?
Kii pairon ke neeche jo zameen hain,
Us se?
Jab koi makaan ke darwaaze ke upar
Aapka naam likha jaata hain,
Tab, kya wah ghar aapka ho jaata hain?
Kiraye kii shareer mein,
Doosro ke mann mein,
Kahiyon ke sawaalon ko dhundthe hue,
Jab hum kahiyon ke jawaabon ko leker
Khud ek sawaal ban jaate hain,
Tab, kya wah sawaal aur uss sawaal ka
Jawaab ghar ban jaata hain?
1 comment:
Beautiful
Post a Comment